Hi Friends,
This is the blog made to write out emotions in poems.
Comments are welcomed.

Please do share on facebook, etc if possible, your each share motivates us to write more :) Thanks for your visit to poemtreasure.com.


Participate and Earn : Unlock The TREASURE IN YOU!! / Contact Us

Friday

Bringing the Change

Baat zehan mein hai ik, kuch khaas ho na ho,
kehna munasib samajhta hun main hamesha, pata nahi ye mauka kal mere pass ho naa ho;
Dil to karta hai maaf kar dun sabko,
Lekin wo maafi bhi kya jisse galti ka ehsas na ho;
Woh lahoo bhi kya lahoo jismein koi aag na ho,
Pragati kadam nahin choomti agar badlaav ki aas na ho;
Ek baar mera kaha maan ke to dekho yaaron, fir kehna agar duniya mein pyaar na ho!

-Ankit Bhatia


Duniya ko badalna aasan kaam nahi hota!
ye hunar sabme aam nahi hota!!
chaar pal ki zindagi hai, haste khelte jeele!
zindagi ke jo kuch kadve ghoont hia unhe haske peele!!
Gaandhi-Nehru banna sabke bas ki baat nahi!
Waise bhi ab wo haalat nahi!!

-Ankur Garg


Aasaan wohi hai kaam jo jee-jaan se kiya jaye,
Apne hunar ko pehchaan ke kiya jaaye,
Kaun kehta hai ki Gandhi-Nehru bano ae yaar,
Main to kehta hun khud ki nayi pehchaan banayi jaye!! :)

-Ankit Bhatia

December, 2010

This poem was written when some thoughts were storming in my mind after an issue.

No comments:

 


Design by: Blogger XML Skins | Distributed by: Blogger Templates | Sponsored by Application Monitoring