Maa mujh ko do ek kanya,
Nanhi munni si pyari sukanya;
Karta rahunga laad dulaar,
Teri maa ho jai-jai kaar!
Beti hai is jag ka gehna,
Yeh hai maa, beti aur behna;
Na karo tum iska tiraskar,
Do isko thoda sa pyaar;
Beti ko apmaanit karke na sukh tu kabhi payega,
Mit jayega astitv tera sukhi shaakh reh jaega;
Gar tu maa durga ko maane, jagdamba jag-janni ko jaane,
Rakh beti ke sir par hath, kar buland iska swabhimaan.
Do isko achi si shiksha, na maange ye reham ki bhiksha,
Do isko bhi jeene ka hak, na kar iska garbh mein vadh;
Tere dukh dard mein yeh daudi-daudi aayegi,
Tum ko dukhi dekhkar isko chain kabhi na aayegi;
Muniya raani ke bin mujh ko ghar laage ati suna,
Bin iske na jeena chahun is jag mein ek pal na...
Authored and shared by - Vijay Kumar Guleria

1 comment:
Dil ko chuu gayi
Post a Comment