Ae manav na ban tu danav kar thoda sa vichaar,
Kar raksha jangal aur jal ki na isse bada koi paropkar;
Ek samay tha jab is dhara par the jangal hi jangal,
Hariyali thi charon or jangal mein tha naache mor;
Kal-kal behti thi sab nadiyan pehnein safed libas,
Shudh jal aur shudh vayu ka tha is dhara par vaas;
Khudgarzi ki hadein paar kar tune jangal kaate,
Dharti ka seena cheerkar athah jal tune kiya barbaad;
Jal vaayu ko dushit karke samjhe tu khud ko sayana,
Jald hi vo din aayega jab tujhe padega bahut pachtana;
Ban samajhdaar uth ho taiyaar kar yatan kuch ae manav,
badal soch na kho tu hosh bacha le dharti maa ki god.
Authored and shared by - Vijay Kumar Guleria

1 comment:
nice poem
Post a Comment